Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana
husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana
shahr-dar-shahr har ek dil ki rawa ho jaana
pas aa aa ke har ek lamha bichhaDna tera
jaise KHushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana
is tarah TuT ke barse hain garajte baadal
jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana
zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham
zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana
kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe
hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana
jaan-gusil waqt ki taswir adhuri rakh di
hum ne chaha nahin har rang ka wa ho jaana
khetiyan sukh gain KHushk hue dil ke nagar
bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana
bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu
tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana
ye bhi mumkin nahin ai dost to sab ki KHatir
chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana
(625) Peoples Rate This