UThao Lauh-o-qalam Hadse Tamam Likhun
uThao lauh-o-qalam hadse tamam likhun
rawan sadi mein hua hai jo qatl-e-am likhun
nasim-e-subh ibarat hai teri KHushbu se
saba ki narm-rawi ko tera KHiram likhun
ulajhti sanson ki tafsir KHun-chakan naghma
sukut TuT bhi jae to kis ke nam likhun
harim-e-zat farozan hai jis ke partaw se
usi jhalak ko ufuq par mah-e-tamam likhun
koi to subh-e-rifaqat se kar sakun tabir
koi to sham tere sath apne nam likhun
chhalak rahi hai subuhi qadam ki laghzish se
siyah chashm ki gardish ko daur-e-jam likhun
ajab ishaare hain nichi nigah ke 'ishrat'
wo jitne ranj bhi de KHud ko shad-kaam likhun
(800) Peoples Rate This