Tab-e-nigah Thi To Nazara Bhi Dost Tha
tab-e-nigah thi to nazara bhi dost tha
us chashm-e-nargisin ka ishaara bhi dost tha
TuTa to aasman se KHalaon mein kho gaya
jab tak chamak raha tha sitara bhi dost tha
hum khelte the aag se jis sin mein un dinon
chingariyan thin phul sharara bhi dost tha
aThkheliyan thin ret pe maujon ki dur tak
Thahri hui nadi ka kinara bhi dost tha
gham-KHwariyan thin shewa dil-e-dard-mand ka
lakh ajnabi ho ishq ka mara bhi dost tha
raaten KHayal-o-KHwab se aarasta rahin
pahlu mein ek anjuman-ara bhi dost tha
miTTi ka rizq ho gaya kuchh yaaden chhoD kar
kis se kahen ki shad sa pyara bhi dost tha
kis tarah ja mila hai saf-e-dushmanan mein wo
'ishrat' jo ek shaKHs hamara bhi dost tha
(842) Peoples Rate This