Sham Kajlai Hui Raat Abhagan Jaisi
sham kajlai hui raat abhagan jaisi
rut nahin aati kisi ganw mein sawan jaisi
rang Tesu mein khile hain teri chunari ki tarah
ban mein phulon ki mahak hai tere aangan jaisi
us ki aawaz mein hai sat suron ka sangit
baat bhi wo kare to bajti hai jhanjhan jaisi
raat ki waishya lakh aankhon mein kajal pare
subh mang apni sajaegi suhagan jaisi
ek pal bichhDen to lagta hai yugon ka ban-bas
aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi
tu alag ruThi hui hai wo alag ruTha hua
gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi
aanch si lagti hai pahlu mein teri sanson ki
ghaw par ThanDi hawa hai tere daman jaisi
meri aankhon mein dil-awez saman hai 'ishrat'
phulon par os ki har bund hai darpan jaisi
(783) Peoples Rate This