Sahme Se The Parind Basera Udas Tha
sahme se the parind basera udas tha
jangal ki tarah shahr mein KHauf-o-hiras tha
donon hi ajnabi the magar TuT kar mile
main dard-ashna wo sitara-shanas tha
kis tamkanat se anjuman aarasta kiye
tanhaiyon mein koi mere aas-pas tha
aankhon se meri subh tak aansu na tham sake
kal raat wo mila to bahut hi udas tha
apni to intishaar mein guzri tamam umr
wo koi aur hain jinhen mahaul ras tha
us ne kuchh is ada se pazirai ki meri
tahzib-e-husn par main sarapa sipas tha
samt-e-safar badal dega wo agle moD par
'ishrat' mujhe guman tha na koi qayas tha
(776) Peoples Rate This