Rota Hun Qadr-dan-e-mata-e-hunar Ko Main
rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main
laun kahan se DhunDh ke us dida-war ko main
sad hasil-e-tarab hai rifaqat ki ye ghaDi
wo mujh ko dekhte hain charagh-e-sahar ko main
muddat hui hai chaak-e-gareban siye hue
karta hun yaad mausam-e-diwana-gar ko main
lab par hain zindagi ki duaen bahar-nafas
mayus pa raha hun masiha nazar ko main
dekha hai tum ne kucha-e-dildar mein use
pahchanta hun 'ghaalib'-e-ashufta-sar ko main
(1105) Peoples Rate This