Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe
hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe
hum zamin par aasman ke mashware likhte rahe
umr kitni kaT gai hijrat mein socha hi nahin
chehre ki sari lakiren aaine likhte rahe
mausamon ki dastaken chiKHon mein dab kar rah gain
git ki farmaishen thin marsiye likhte rahe
tum na paDhna wo safar-nama jo nok-e-KHar par
ku-ba-ku sahra-ba-sahra aable likhte rahe
hadse jin par moarriKH ki zaban khulti nahin
shahr ki diwar par hum KHun se likhte rahe
kar-nama aur kya karte ye naqqadan-e-asr
nok-e-KHanjar se ghazal par hashiye likhte rahe
kaifiyat shaKH-e-nihaal-e-gham ki 'ishrat' subh-o-sham
aate-jate mausamon ke qafile likhte rahe
(733) Peoples Rate This