Daryaft Kar Ke KHud Ko Zamane Se Dur Hun
daryaft kar ke KHud ko zamane se dur hun
har shaKHs ba-shuur hai main be-shuur hun
hijrat mera nasib hai parwaz mashghala
gumbad ke daere mein misal-e-tuyur hun
gandum ki KHushbu raqs mein rakhti hai raat-din
masti-bhari sharab ke nashshe mein chur hun
sadiyon se be-libas darida-badan udas
taswir-e-kaenat mein be-rang-o-nur hun
bosida si kitab ka ek hashiya ho tum
lauh-e-azal pe likkha main bainassutur hun
mera wajud pani hua miTTi aur aag
bikhri hui ana hun sulagta ghurur hun
fard-e-amal nawishta-e-taqdir paDh chuka
KHamosh sar jhukae KHud apne huzur hun
khincha nahin hisar koi apne ird-gird
'ishrat' main apni zat mein tanha zarur hun
(772) Peoples Rate This