Sahn-e-maqtal Mein Har Ek ZaKHm-e-tamanna Rakh Do
sahn-e-maqtal mein har ek zaKHm-e-tamanna rakh do
aur qatil ka naya nam masiha rakh do
ab to ruswai ki had mein hai meri tishna-labi
ab to honThon pe dahakta hua shoala rakh do
kitni tarik hai shab mere makan ki yaron
in munDeron pe koi chand sa chehra rakh do
ab ki barish mein mera nam chamak jaega
lakh tum ret ki tah mein mera katba rakh do
phir bhi haq baat ke kahne se na baz aaunga
mere hathon pe bhale daulat-e-duniya rakh do
nind si aane lagi zulf ke sae mein mujhe
phir mere KHwabon pe tapta hua sahra rakh do
mere afsane ko phir moD naya sa de do
aur unwan sulagta hua lamha rakh do
jo samajhte hi nahin meri zaban ko 'ishrat'
un ke afkar mein mera lab-o-lahja rakh do
(798) Peoples Rate This