Milo To Aise Andheron Ko Bhi Pata Na Lage
milo to aise andheron ko bhi pata na lage
chalo to aise ke jismon mein fasla na lage
main aaj ganw mein chhoDe to ja raha hun tumhein
dua karo ki mujhe shahr ki hawa na lage
KHuda wo waqt na lae hamare bachchon par
ki jis ghaDi unhen maon ki bhi dua na lage
main us ka zikr kisi aur se nahin karta
kahin ye mera rawayya use bura na lage
ye tai kiya hai ki aisa fasana likkhunga
wo bewafa kisi jumle se bewafa na lage
biTha gaya tha koi aise peD ke niche
ki jis ka ek bhi patta mujhe hara na lage
ata kiye hain yun hi us ne rat-jage 'ishrat'
ye zindagi mujhe KHwabon ka silsila na lage
(629) Peoples Rate This