Chand Par Hai Mujhe Tera Hi Guman Aaj Ki Raat
chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat
sujhta hi nahin kuchh sud-o-ziyan aaj ki raat
dard-e-insan mein insan miTa jata hai
ek nae ahd ka milta hai nishan aaj ki raat
jama-e-hasti-e-insan hai ba-rang-e-matam
uTh raha hai sham-e-sozan se dhuan aaj ki raat
ek nae moD pe hai dard-e-mohabbat apna
daru-e-dard hai KHud dard-e-jahan aaj ki raat
ai sitaron ke KHudawand ye kya aalam hai
chandni mein bhi hai tarik jahan aaj ki raat
kya hai mearaj yahi dard ki lazzat apni
kya isi mein hain rumuz-e-do-jahan aaj ki raat
dur se aati hain kanon mein dilon ki aahen
kya inhin mein hai KHuda-wand-e-jahan aaj ki raat
jo bhi mazlum hai dil us ke liye rota hai
meri har sans mein hai shor-e-fughan aaj ki raat
(671) Peoples Rate This