Tum Se Bhi Baatchit Ho Dil Se Bhi Guftugu Rahe

tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe

KHwab o KHabar ka silsila yunhi kabhu kabhu rahe

dard bhi hath tham le zaKHm bhi bolne lagen

yani nihaal-e-shaKH-e-gham aise hi ba-numu rahe

ishq mein ehtiyat hi goya hai pas-e-waz-e-ishq

chaak hon sad-hazar aur daman-e-dil rafu rahe

tu jo nahin to main nahin main jo nahin to tu kahan

donon tarah thi baat ek main rahun ya ki tu rahe

aur mata-e-jaan-o-dil kuchh bhi na mujh ko chahiye

sine mein ek charagh sa aankh mein ek lahu rahe

ek charagh hans paDa taq mein ehtiyat se

aur hawa sahm gai phul ki aabru rahe

ek lakir ro paDi donon hatheliyon ke bich

rang-e-hina chhupa gaya hath lahu lahu rahe

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Se Bhi Baatchit Ho Dil Se Bhi Guftugu Rahe In English By Famous Poet Ishrat Afreen. Tum Se Bhi Baatchit Ho Dil Se Bhi Guftugu Rahe is written by Ishrat Afreen. Read famous Poem Tum Se Bhi Baatchit Ho Dil Se Bhi Guftugu Rahe for youth and Student by Ishrat Afreen. Free Download Tum Se Bhi Baatchit Ho Dil Se Bhi Guftugu Rahe in PDF.