Kaisa KHazana Ye To Zad-e-safar Nahin Rakhti
kaisa KHazana ye to zad-e-safar nahin rakhti
KHana-ba-dosh mohabbat koi ghar nahin rakhti
yaadon ke bistar par teri KHushbu kaDhun
is ke sawa to aur main koi hunar nahin rakhti
koi bhi aawaz us ki aahaT nahin hoti
koi bhi KHushbu us ka paikar nahin rakhti
main jangal hun aur apni tanhai par KHush
meri jaDen zamin mein hain koi Dar nahin rakhti
wo jo lauT bhi aaya to kya dan karungi
main to us ke nam ka ek zewar nahin rakhti
'mira' man meri aag ko koi gun nahin aaya
us murat ko ram karun ye hunar nahin rakhti
(720) Peoples Rate This