Jo Mabad Mein Diya Jalane Aati Thi
jo mabad mein diya jalane aati thi
wo laDki kyun andhiyaron ki nazr hui
wo jis ne ashkon se haar nahin mani
kis KHamoshi se dariya mein Dub gai
ret pe mere aur tumhaare qadmon ki
ek tahrir thi so wo dariya-burd hui
lafzon ke shahzade ka rasta dekhe
jangal mein rahne wali bholi laDki
teri muKHbir teri hi hamraaz kaniz
meri dushman meri ek saheli thi
bhuk hi pale apni kokh mein meri man
banjh duaen mehnat wale hathon ki
wo ghar jis ke taq mein diya na tha lekin
sehn mein ek kunDari rakkhi rahti thi
(787) Peoples Rate This