Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d5c8ee7354471c75e3c55108a3ff0676, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein - Ishq Azimabadi Poetry In English - Darsaal

Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein

hum ne to KHak bhi dekha na asar rone mein

umr kyun khote ho ai dida-e-tar rone mein

raat kab aae tum aur kab gae malum nahin

jaan itni na rahi hum ko KHabar rone mein

jab talak ashk thamen baiTh agar aaya hai

teri surat nahin aati hai nazar rone mein

tujh ko ai dida-e-tar shaghl hai rona lekin

Duba jata hai yahan dil ka nagar rone mein

aalam-e-ishq mein majnun bhi baDa gaDha tha

yar majnun se bhi hum gaDe hain par rone mein

(560) Peoples Rate This

Ishq Azimabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein In English By Famous Poet Ishq Azimabadi. Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein is written by Ishq Azimabadi. Read famous Poem Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein for youth and Student by Ishq Azimabadi. Free Download Humne To KHak Bhi Dekha Na Asar Rone Mein in PDF.