Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa58f9e3d74d20ebeeb50c155a5b7bbe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai - Ishq Aurangabadi Poetry In English - Darsaal

Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai

surat ka apni yar parastar tha so hai

aaina dil us ko jo darkar tha so hai

ye dil hai tegh-e-abru-e-KHamdar ka shahid

is ka gawah dida-e-KHamdar tha so hai

malik hai mere dil ka KHuda tujh se ai sanam

paiwasta bandagi ka jo iqrar tha so hai

zahir mein garche kufr se munkir hua hai shaiKH

poshida us ki subha mein zunnar tha so hai

tujh KHat ki yaad mein dil-e-hairan-e-ishq ka

durr-e-najaf ki tarah se mudar tha so hai

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Surat Ka Apni Yar Parastar Tha So Hai in PDF.