Rakhta Hun Talai Rang Aur Ashk Bhi Moti Hai
rakhta hun talai rang aur ashk bhi moti hai
munim ke bhi ghar aaKHir daulat yahi hoti hai
sumbul ki pareshani kab kam thi ki phir tis par
shabnam jo sarishk us ke mizhgan mein piroti hai
aali se main ja puchha kya waqia yan guzra
gul chaak-gareban hai shabnam hai ki roti hai
dam sard hi wo bhar kar ye mujh se laga kahne
har subh gulistan ki haalat yahi hoti hai
'ishq' apni fana ka KHauf sarkash ke nahin dil mein
kab shama ye hai raushan jo subh bhi hoti hai
(725) Peoples Rate This