Na Aaina Hi Us Surat Ke Aage Hakka-bakka Hai
na aaina hi us surat ke aage hakka-bakka hai
siyahi dekh us ke KHat ke mad ki dil mein lukka hai
hua insan numayan nur-e-zat-e-pak-wahdat se
ki jyun KHurshid ke partaw se zarre mein jhamakka hai
hua aKHbar se sabit sawab-e-hajj-e-akbar hai
ziyarat kar le ai ghafil dil-e-agah makka hai
bacha nin koi us zalim ke jaur-e-chashm-o-mizhgan se
wahan aaina bhi shan-e-asal ka sa shabakka hai
jhuka kar ek main sar nam apna kar diya raushan
funun-e-ishq mein kam koi parwana sa pakka hai
mawali-e-ali ka hai ba-KHair anjam bujh ai 'ishq'
KHuda hafiz tera dozaKH bhi ek sharai-e-dikka hai
(832) Peoples Rate This