Mere Gul Ka Jo Koi Lutf-o-karam Dekha Hai
mere gul ka jo koi lutf-o-karam dekha hai
husn aur KHalq ke tain us ne baham dekha hai
tere abru ke muqabil to hilal-asa hai
har kaman-abru ki qamat ko bhi KHam dekha hai
chashm-e-altaf se us mast nayan ki hai kaman
ki kisi waqt mere dida-e-nam dekha hai
kahte hain dar-e-mehan hai ye jahan-e-fani
kaun wo shaKHs hai jin ne ki na gham dekha hai
ashk aur aah se hai 'ishq' ka raushan eajaz
aab o aatish ko kisu ne bhi baham dekha hai
(782) Peoples Rate This