Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse
kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujh se
apni rudad ko mat kijiyo pinhan mujh se
hun hawa-KHwah main ai gul tera jiyun mauj-e-nasim
ghuncha-san kab hai girah ka tere nuqsan mujh se
chashm-e-mast us ki ne dil toD ke pheri hai nazar
ki na mange kahin is shisha ka tawan mujh se
tir ne KHwab mein hamdard jo paya apna
dard-e-dil kahne laga ho ke wo giryan mujh se
ram ka hirnon ke bagule ki bhi betabi ka
raaz sab waz kiya phaD gareban mujh se
garm rakhta tha kaha madrasa jab wadi ka
ilm-e-wahshat kiye tahsil ghazalan mujh se
sar par ab KHak uData hua phirta hun 'ishq'
saf dekha to na thi KHatir-e-yaran mujh se
(771) Peoples Rate This