KHurshid-ru Ki Sohbat Jo Ab Nahin To Phir Kab
KHurshid-ru ki sohbat jo ab nahin to phir kab
shabnam ki tarah qurbat jo ab nahin to phir kab
zarre ki tarah mujh par ek mahr ki nazar kar
dekhe wo mehr-e-talat jo ab nahin to phir kab
joDa hai zafrani us gul-badan ke bar mein
KHush ho meri tabiat jo ab nahin to phir kab
aaluda-damani ko dhone ko muntazir hun
barish de abr-e-rahmat jo ab nahin to phir kab
is bagh mein do-roza hai ishq-e-zindagani
gul ki tarah bashashat jo ab nahin to phir kab
(702) Peoples Rate This