Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ac62e10fce4737c304c9461854ce0397, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai - Ishq Aurangabadi Poetry In English - Darsaal

Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai

bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai

jarahat-e-dil-e-mahzun ka dard marham hai

jahan mein gham se kui ishrat-kada nahin KHali

hai shama bazm mein giryan chaman mein shabnam hai

hun aab-dida main nargis pe dekh kar shabnam

ki aah chashm ki surat bhi ashk se nam hai

rakhe hai lutf shabistan-e-bazm-e-munim lek

swad-e-sham-e-ghariban ka aur aalam hai

gulon ka chaak gareban hain bulbulen nalan

chaman mein 'ishq' KHuda jaane kis ka matam hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Bala Se KHalq Ho Be-dard Ishq Kya Gham Hai in PDF.