Agar Sabit-qadam Ho Ishq Mein Jiyun Shama Jal Sakiye
agar sabit-qadam ho ishq mein jiyun shama jal sakiye
muqabil tund-KHu ki tegh-e-abru ke sambhal sakiye
hamare ashk-e-KHunin ne hinai rang laya hai
are dil us ke panw par ye aankhen ab to mal sakiye
palak se jis tarah aansu guzar jata hai ek pal mein
siraat upar KHuda ka fazl shamil ho to chal sakiye
nikalna said ka sayyaad ke phande se mushkil hai
nahin aasan ai dil dam-e-duniya se nikal sakiye
lagi jab shama ki si tarah aatish ishq ke sar ko
tasawwur shola-ru ka bandh kar jal jal pighal sakiye
(679) Peoples Rate This