Raegani Ka Aariza Hai Mujhe
raegani ka aariza hai mujhe
zindagi ek hadisa hai mujhe
is KHarabe se kab gila hai mujhe
apna hona hi masala hai mujhe
zimni kirdar hun kahani ka
apni taqdir ka pata hai mujhe
mujh ko andar ki kuchh KHabar hi nahin
aur bahar ka sab pata hai mujhe
dasht mein shahr yaad aata hai
ishq ka pahla tajraba hai mujhe
waqt ka raaz jaanne se miyan
jaane ye kaun rokta hai mujhe
ek lamhe ko ruk ke sun le use
a zamin tujh se jo gila hai mujhe
meri hi aankh ke wasile se
KHwab andar se dekhta hai mujhe
kitne chehre uThae phirta hun
aaina phir bhi jaanta hai mujhe
ek KHushi sud par mili thi kahin
us ka qarza utarna hai mujhe
yun hi KHamosh main nahin baiTha
shor andar ka Tokta hai mujhe
(1158) Peoples Rate This