Main Zamin Thahra To Usko Aasman Hona Hi Tha
main zamin Thahra to us ko aasman hona hi tha
aasman ho kar use na-mehrban hona hi tha
pyas ki tahrir se to ye ayan hona hi tha
be-nishan baatil to haq ko jawedan hona hi tha
ruh ki tajsim se mumkin hui hai zindagi
la-makan ke waste bhi ek makan hona hi tha
wo gunah ki sarzamin par jannaton ka KHwab tha
is tarah ke KHwab ko to raegan hona hi tha
kab thi firdaus-e-barin mein lazzat-e-lutf-e-gunah
is zamin ki justuju mein kuchh ziyan hona hi tha
be nishan raston pe ab tak gamzan hai ye zamin
is liye bhi aasman ko be-karan hona hi tha
mein chala tha raat ko bhi din banane ke liye
sar pe mere dhup ko phir saeban hona hi tha
(958) Peoples Rate This