Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eef35e5bae559210cf0b2dd5393a94f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna - Ishaq Veerdag Poetry In English - Darsaal

Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna

kaghaz ke bane phul jo gul-dan mein rakhna

titli ki udasi ko bhi imkan mein rakhna

main ishq hun aur mera nahin koi Thikana

ai husn mujhe dida-e-hairan mein rakhna

shayad main kisi aur zamane mein bhi aaun

mumkin to nahin hai magar imkan mein rakhna

ab markazi kirdar tumhaara hai mere dost

tum meri kahani ko zara dhyan mein rakhna

ye rah-e-mohabbat to faqat band gali hai

aasan se raste ko bhi saman mein rakhna

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Kaghaz Ke Bane Phul Jo Gul-dan Mein Rakhna in PDF.