Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69992958ded51f4c035a2cd6142d71b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main - Ishaq Veerdag Poetry In English - Darsaal

Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main

jab KHasare hi ka sarmaya hun main

phir zamin par kis liye aaya hun main

TuTe kirdaron ka malba joD kar

ek naya qissa bana laya hun mein

KHwab tak to Thik tha lekin miyan

jagne ke baad ghabraya hun main

jis ki buniyaadon mein shab ka husn hai

aisi kali dhup ka saya hun main

apni hi marzi se wapas jaane de

dekh tere hukm par aaya hun main

a peshawar aaKHiri koshish hai ye

KHwab se ek faKHta laya hun main

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main In English By Famous Poet Ishaq Veerdag. Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main is written by Ishaq Veerdag. Read famous Poem Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main for youth and Student by Ishaq Veerdag. Free Download Jab KHasare Hi Ka Sarmaya Hun Main in PDF.