Is Par Ka Ho Ke Bhi Mein Us Par Gaya Hun
is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun
ek ism ki barakat se kai bar gaya hun
KHairaat mein de aaya hun jiti hui bazi
duniya ye samajhti hai ki main haar gaya hun
thame hue ek raushni ke hath ko har shab
pani pe qadam rakh ke main us par gaya hun
darwaze ko auqat mein lane ke liye main
diwar ke andar se kai bar gaya hun
kya mere liye ek bhi kirdar nahin tha
kyun apni kahani se main be-kar gaya hun
mushkil hai tujhe aag ke dariya se bacha lun
ai shahr-e-peshawar main tujhe haar gaya hun
KHwabon ne jo ek khel banaya tha mere dost
is khel mein tabir se main haar gaya hun
(914) Peoples Rate This