Hum KHak-ba-sar Gard-e-safar DhunD Rahe Hain
hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain
aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain
diwanon ke manind mare shahr ke sab log
dastar ke qabil koi sar DhunD rahe hain
ab sham hai to shahr mein ganw ke parinde
rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain
jo dil ke nihan-KHanon mein rahta hai hamesha
ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain
galiyon mein jo phirte hain ye manus se chehre
Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain
afsurda se chehron pe baDi der se hum log
ek khoya hua dast-e-hunar DhunD rahe hain
(816) Peoples Rate This