Tere Karam Ka Mere Dasht Pe Jo Saya Hua
tere karam ka mere dasht pe jo saya hua
mujhe laga hi nahin main bhi hun sataya hua
wo tajrabaat ki had se nikal gaya aage
wo ek shaKHs ki tha mera aazmaya hua
kisi ke dast-e-hinai ka lams raushan tha
koi charagh na tha hath mein chhupaya hua
hamara nam nahin hai hamara zikr nahin
magar yahan se koi lafz hai miTaya hua
main kaise us se alag ho ke dekh sakta hun
kisi ka rang rag-o-pai mein hai samaya hua
wo aafiyat hai jahan ji rahe hain barson se
isi gali mein hai pauda mera lagaya hua
hawa chali to safar sahl ho gaya 'athar'
safina tha kisi tufan se Dagmagaya hua
(744) Peoples Rate This