Sar-e-shaKH-e-talab Zanjir Nikli
sar-e-shaKH-e-talab zanjir nikli
ye kis ke KHwab ki tabir nikli
zamin par be-zamini ki kasak hai
ye mere nam ki jagir nikli
iradon se nikal aae irade
mere andar ajab tamir nikli
darichon par dariche khul rahe hain
har ek taswir mein taswir nikli
safar mein phir safar ke KHwab aaen
yahi har KHwab ki tabir nikli
sar-afraazi ka manzar dekhta tha
barahna-sar har ek tauqir nikli
(701) Peoples Rate This