Sare Mausam Hain Mehrban Se Kuchh
sare mausam hain mehrban se kuchh
rose utarta hai aasman se kuchh
har ibarat sawal jaisi hai
lafz ghaeb hain darmiyan se kuchh
kis ki lau ne jala diya kis ko
rakh mein hain abhi nishan se kuchh
kis se tafsir-e-mah-o-sal karen
din guzarte hain be-aman se kuchh
kya KHabar ye kahan talak phaile
uTh raha hai dhuan guman se kuchh
karwan kis ka manzilen kis ki
kya jhalakta hai dastan se kuchh
ek taswir raushni le kar
sae nikle to hain makan se kuchh
is qadar e'tibar kar lije
rabt rakhta hun KHandan se kuchh
tum bhi us waqt se Daro logo
jab nikal jae is zaban se kuchh
(813) Peoples Rate This