Is Hujum-e-be-aman Mein Koi Apna Bhi To Ho
is hujum-e-be-aman mein koi apna bhi to ho
main gale kis ko lagaun koi zinda bhi to ho
barg-e-awara hawa na-ashna be-mehr phul
aate jate mausamon mein koi Thahra bhi to ho
sab gharon mein lazzat-e-asudgi hai KHema-zan
main sada kya dun yahan par koi sunta bhi to ho
phir se shaKH-e-dar par khilne lagen lale ke phul
phir se duniya jag uTThe koi aisa bhi to ho
TuT jata aap hi be-dard sannaTe ka zor
KHauf se bahar nikal kar koi bola bhi to ho
main ne us ko dil-nawaz-o-KHush-ada kya kya kaha
meri is zinda-dili ko koi samjha bhi to ho
main bhi kah deta ye mere KHwab ki tabir hai
teri tabiron mein mera KHwab bola bhi to ho
(691) Peoples Rate This