Hum Musafir Hain Ki Maqsud-e-safar Jaante Hain
hum musafir hain ki maqsud-e-safar jaante hain
kaise banti hai koi rahguzar jaante hain
be-ghari zad-e-safar ho to Thaharna kaisa
itne aadab to ye KHak-ba-sar jaante hain
rah-e-sunnat bhi yahi jada-e-hijrat bhi yahi
panw ruk jaen jahan bhi use ghar jaante hain
kya KHabar Dub ke ubhrin ki ubhar kar Duben
zist ko hum to samundar ka safar jaante hain
kitni is daur mein aazadi hai majburon ko
KHauf ki aag mein jalte hue par jaante hain
KHushk honTon pe likhi hai ye kahani kis ne
kah nahin sakte magar dida-e-tar jaante hain
koi mahram hai ki mahrum hamein kya malum
un se puchho jo maqamat-e-nazar jaante hain
hum ko aate nahin andaz-e-hunar-mandi-e-fan
ye alag baat ki tauqir-e-hunar jaante hain
ghar se bahar jo nikalte hi nahin hain 'athar'
kitni aasan teri rahguzar jaante hain
(717) Peoples Rate This