Giraft-e-saya-e-diwar Se Nikal Aaya
giraft-e-saya-e-diwar se nikal aaya
main ek umr ke aazar se nikal aaya
na jaanna bhi to ek jaanne ki surat hai
ajib ruKH mere inkar se nikal aaya
main apni qimat-e-ehsas ke jawaz mein tha
so ye hua ki main bazar se nikal aaya
abhi ruke bhi na the hum paDaw ki KHatir
naya safar nai raftar se nikal aaya
samajh rahe the kahin dafn ho gaya hoga
wo KHauf phir dar-o-diwar se nikal aaya
main chup hua to use bolna hi tha ek din
wo zinda harf lab-e-dar se nikal aaya
kisi KHayal se kya kya KHayal jag uThe
ye shaghl lamha-e-bekar se nikal aaya
(640) Peoples Rate This