Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange
apne jauhar se siwa bhi koi qimat mange
dil wo aaina nahin hai ki jo surat mange
main ne dariyaon mein bhi dasht ka manzar dekha
jab ki pyasa koi pani ki ijazat mange
us ki raftar ki taswir banai na gai
kis qayamat ko ye hangam qayamat mange
naz ki qamat-e-zeba ki bayan kya kije
pairahan bhi jahan uslub-e-nazakat mange
jitna hota hai kam aasar-e-KHushi ka lamha
dil mera dard se utni bhi na mohlat mange
har taraf shor hai aawazon ka taswiron ka
kaun ghabra ke na ab gosha-e-uzlat mange
KHwab utre hain mere zehn pe jaise ilham
kaun in KHwabon se tabir ki qimat mange
kaun maslub hua kis pe laga hai ilzam
kashmakash aisi hai insaf adalat mange
(707) Peoples Rate This