Ab Bhi Guzre Hue Logon Ka Asar Bolta Hai
ab bhi guzre hue logon ka asar bolta hai
rah KHamosh hai imkan-e-safar bolta hai
shaKH se TuT ke rishte nahin TuTa karte
KHushk patton ki zaban mein bhi shajar bolta hai
ye to duniya hai tasalsul ka amal jari hai
bolne wale chale jaen to ghar bolta hai
DhunDne jaen to milta hi nahin us ka pata
aur rasta hai ki ta-hadd-e-nazar bolta hai
un ke chehron pe hai tahrir kahan ke hain ye log
un ko jaana hai kidhar raKHt-e-safar bolta hai
aane wale kisi lamhe ki KHabar ho shayad
sar jhukae hue ek KHak ba-sar bolta hai
dard ki koi alag se nahin hoti hai zaban
meri aawaz mein ab sara nagar bolta hai
ghar mein baiThe hue kya soch rahe ho 'athar'
band darwazon mein KHud apna hi Dar bolta hai
(753) Peoples Rate This