Aashna Na-ashna Yaron Ke Beach
aashna na-ashna yaron ke beach
munqasim hun kitni diwaron ke beach
sans bhi lete nahin kya raste
kya hawa bhi chup hai diwaron ke beach
ek bhi pahchan mein aati nahin
suraten kitni hain bazaron ke beach
dekhna hai kis ko hoti hai shikast
aaina hai ek talwaron ke beach
kaisi dharti hai ki phaTti bhi nahin
raqs majburi hai muKHtaron ke beach
apna apna kasa-e-gham lae hain
hai numaish si azadaron ke beach
hai unhi se raunaq-e-bazm-e-hayat
phul khilte hain jo angaron ke beach
kya shua-e-mehr aati hai kabhi
aasman bar-dosh diwaron ke beach
hum bhi 'athar' 'mir' sahab ke tufail
sher kahte hain tarah-daron ke beach
(699) Peoples Rate This