AaKHir-e-shab Bhi Kisi KHwab Ki Ummid Mein Hun
aaKHir-e-shab bhi kisi KHwab ki ummid mein hun
ek nai subh nae din nae KHurshid mein hun
mujh se wo kaise kare harf-o-hikayat aaghaz
main abhi silsila-e-harf ki tamhid mein hun
mujh mein bhi faqr ki halki si jhalak milti hai
hai mujhe faKHr ki ek surat-e-taqlid mein hun
main ne dekha hai use ya nahin dekha us ko
main abhi tak to usi kashmakash-e-did mein hun
meri har sans hai isbaat-o-nafi ki takrar
mujh ko kya ilm ki kab haalat-e-tardid mein hun
sar-kashida hun to kya madd-e-muqabil hun to kya
mere qatil main teri tegh ki taid mein hun
KHushk shaKHon mein abhi zauq-e-numu baqi hai
main nai rut se phir ek ahd ki tajdid mein hun
(610) Peoples Rate This