Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f3e63ca63b3bb82c549047a87b945037, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho - Irshad Khan ’Sikandar’ Poetry In English - Darsaal

Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho

rishta bahaal kash phir us ki gali se ho

ji chahta hai ishq dobara usi se ho

anjam jo bhi ho mujhe is ki nahin hai fikr

aaghaz-e-dastan-e-safar aap hi se ho

KHwahish hai pahunchun ishq ke main us maqam par

jab un ka samna meri diwangi se ho

kapDon ki wajh se mujhe kam-tar na aankiye

achchha ho meri jaanch-parakh shaeri se ho

ab mere sar pe sab ko hansane ka kaam hai

main chahta hun kaam ye sanjidgi se ho

duniya ke sare kaam to karna dimagh se

lekin jab ishq ho to 'sikanndar' wo ji se ho

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho In English By Famous Poet Irshad Khan ’Sikandar’. Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho is written by Irshad Khan ’Sikandar’. Read famous Poem Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho for youth and Student by Irshad Khan ’Sikandar’. Free Download Rishta Bahaal Kash Phir Uski Gali Se Ho in PDF.