Bujhe Ho, Hath Mayusi Lagi Hai Kya
bujhe ho, hath mayusi lagi hai kya
dar-e-ulfat pe ab kunDi lagi hai kya
abhi bhi tujh dar-e-dil par bata jaanan
hamare nam ki taKHti lagi hai kya
samundar baukhalaya phir raha hai kyun
kinare phir koi kashti lagi hai kya
hamin tum se hamesha milne aaen kyun
tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya
kaTe hain par to kaTne do miyan socho
iradon par koi qainchi lagi hai kya
jahan kal ishq par charcha hua ghanTon
wahin ab husn ki manDi lagi hai kya
hain aankhen surKH lab zaKHmi ana ghayal
tere kirdar ki boli lagi hai kya
teri galiyon se jo guzra use jaanan
bhala duniya kabhi achchhi lagi hai kya
yaqinan aaj be-parda wo nikle hain
wagarna chandni phiki lagi hai kya
na duniya hai na uljhan hai sukun hai bas
Thikane ab meri miTTi lagi hai kya
kitaben ghar mere suraj si raushan hain
tere kamre mein ye batti lagi hai kya
zaban se aah kya uf tak nahin nikli
to ab ke choT kuchh gahri lagi hai kya
miTa loge jihaalat ko 'sikandar' tum
tumhein bhi ye nai dhunki lagi hai kya
(797) Peoples Rate This