Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7e7499e3441f74ca18e0de134e0d62f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main - Irshad Khan ’Sikandar’ Poetry In English - Darsaal

Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main

bahut chup hun ki hun chaunka hua main

zamin par aa gira uDta hua main

badan se jaan to ja hi chuki thi

kisi ne chhu liya zinda hua main

na jaane lafz kis duniya mein khoe

tumhaare samne gunga hua main

bhanwar mein chhoD aae the mujhe tum

kinare aa laga bahta hua main

ba-zahir dikh raha hun tanha tanha

kisi ke sath hun bichhDa hua main

chala aaya hun sahraon ki jaanib

tumhaare dhyan mein Duba hua main

ab apne-ap ko KHud DhunDhta hun

tumhaari khoj mein nikla hua main

meri aankhon mein aansu to nahin hain

magar hun ruh tak bhiga hua main

banai kis ne ye taswir sachchi

wo ubhra chand ye Dhalta hua main

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main In English By Famous Poet Irshad Khan ’Sikandar’. Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main is written by Irshad Khan ’Sikandar’. Read famous Poem Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main for youth and Student by Irshad Khan ’Sikandar’. Free Download Bahut Chup Hun Ki Hun Chaunka Hua Main in PDF.