Aane Lagi Hai Zahr Ki KHushbu Shumal Se
aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se
jhalkega rang KHun ka asr-e-zawal se
hain darj aane wali ruton ke hisab mein
patte jhaDe hue shajar-e-mah-o-mal se
KHwahish ke karobar ki rasmen badal gain
milte hain phul baDh ke KHud apne maal se
gul-dan mein saji hui kaliyon ko kya KHabar
kya puchhti hai baad-e-saba Dal Dal se
zahir hain pairahan ki sapedi se tin rang
KHushbu ki aabshaar-e-rawan sabz shaal se
pardon ki sarsarahaTen bundon ke ral-taral
khulta hai dar hawa-e-shab-e-barshgal se
tu hi hujum-e-shahr mein pahchan le mujhe
main aashna nahin hun tere KHadd-o-KHal se
ab tak harif-e-sang samajhta tha main use
ye aaina to TuT gaya dekh bhaal se
andhon ki anjuman mein jalate ho mishalen
irshad kuchh na paoge kasb-e-kamal se
(876) Peoples Rate This