Mere Hathon Mein Nahin Koi Hunar Ab Ke Baras

mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras

jaane kis ism pe khulta hai ye dar ab ke baras

kuchh to bhugta gae na-karda gunahon ki saza

zad pe aandhi ke hain kuchh aur shajar ab ke baras

raqs aaseb ka jari hai mere shahron mein

kis ko darkar hai kis shaKHs ka sar ab ke baras

ji jalaega ye aawara-o-be-dar hona

dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras

teri ulfat teri chahat teri shafqat ke tufail

kitna barsega mera dida-e-tar ab ke baras

jaan pichhla bhi baras hum ne to ro-ro kaTa

tum ko darpesh hain kuchh aur safar ab ke baras

mujh ko chhu mere shab-o-roz ko raushan kar de

mere aangan mein bhi pal bhar ko Thahar ab ke baras

wo to har din se kahin baDh ke chamakta din tha

tere aane ki jab aai thi KHabar ab ke baras

tu ne har bar bahut KHud ko bigaDa 'arshi'

meri gar man to ji bhar ke sanwar ab ke baras

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Hathon Mein Nahin Koi Hunar Ab Ke Baras In English By Famous Poet Irshad Arshii. Mere Hathon Mein Nahin Koi Hunar Ab Ke Baras is written by Irshad Arshii. Read famous Poem Mere Hathon Mein Nahin Koi Hunar Ab Ke Baras for youth and Student by Irshad Arshii. Free Download Mere Hathon Mein Nahin Koi Hunar Ab Ke Baras in PDF.