Ajib Shor Hai Sara Jahan Bolta Hai
ajib shor hai sara jahan bolta hai
mere yaqin ke aage guman bolta hai
use kaho ki wo hissa bane kahani ka
ye jo koi bhi pas-e-dastan bolta hai
samaaton pe fusun tari hone lagta hai
wo aisi shan se urdu zaban bolta hai
usi ko haq hai teri anjuman mein bolne ka
tere huzur jo shayan-e-shan bolta hai
use saliqa nahin hai baDon mein baiThne ka
jo meri guftugu ke darmiyan bolta hai
na jaanun main ye tamasha hai kitni der abhi
bhanwar ke aage mera baadban bolta hai
main be-tarah ke kai git gungunata hun
safar mein jaise koi sarban bolta hai
(692) Peoples Rate This