Nil-gagan Par SurKH Parindon Ki Daron Ke Sang
nil-gagan par surKH parindon ki Daron ke sang
badli ban kar uDti jae meri shoKH umang
komal kaliyon jaisa mera pak pawitra sarir
pawan ke chhune se uD jata hai chehre ka rang
sapnon ki Dali par chamka ek sunahra pat
chaDhta suraj dekh ke jis ka rup hua hai dang
jalte bujhte phulon se utri KHushbu ki rakh
dho kar aag jo us ne dekha angaron ka rang
tane de kar log lagate hain kyun aag mein aag
basti wale kyun karte hain bairagan ko tang
(872) Peoples Rate This