Zoam-e-hasti Mere Idrak Se Bandha Gaya Hai
zoam-e-hasti mere idrak se bandha gaya hai
aur badan turra-e-pechaak se bandha gaya hai
ek aansu teri poshak se bandha gaya hai
ya sitara koi aflak se bandha gaya hai
ishq ko gesu-e-pechaak se bandha gaya hai
aur phir gardish-e-aflak se bandha gaya hai
KHak uData hun main ta-umr nibhane ke liye
ek rishta jo mera KHak se bandha gaya hai
TuTe paDte hain tamashe ko yahan par naKHchir
aaj sayyaad ko fitrak se bandha gaya hai
kisht-e-wahshat ho jise dekhni aae dekhe
har bagula KHas-o-KHashak se bandha gaya hai
phir wahi harf-e-tamanna hai wahi saat-e-dard
phir hamein dida-e-namnak se bandha gaya hai
ab kisi kuza-gari ki nahin hajat ki mujhe
ta fana ek isi chaak se bandha gaya hai
hum gunahgaron ki hai aaKHiri ummid wahi
ahd ek jo shah-e-laulak se bandha gaya hai
kuja ye shoKH-ada duniya kuja main 'irfan'
mard-e-sada zan-e-bebak se bandha gaya hai
(795) Peoples Rate This