Ye Dana-e-hawas Tumhein Haram Kyun Nahin Raha
ye dana-e-hawas tumhein haram kyun nahin raha
uDan ka wo shauq zer-e-dam kyun nahin raha
masafaton ka phir wo ehtimam kyun nahin raha
safar darun-e-zat be-qayam kyun nahin raha
bikhar gai hai shab to tirgi ka raj kyun nahin
jo baam par tha wo mah-e-tamam kyun nahin raha
hamare qatl par usul-e-qatl-gah ka kuchh lihaz
salib-o-dar ka bhi ehtimam kyun nahin raha
bhala ye kaise man len ki dil ko saf kar liya
jo sulh ho gai to phir kalam kyun nahin raha
jo shoabde the tere pir-e-waqt un ka kya hua
ata-e-husn-o-ishq par dawam kyun nahin raha
jo pairaw-e-hawa-e-nafs-o-banda-e-hawas hua
use ye gham wo waqt ka imam kyun nahin raha
dilon ko jitne ki jo karamaten thin kya huin
nazar nazar jo faiz tha wo aam kyun nahin raha
(619) Peoples Rate This