Sar-e-aina Hairani Bahut Hai
sar-e-aina hairani bahut hai
sitamgar ko pashemani bahut hai
KHirad ki garche arzani bahut hai
junun ki jalwa-samani bahut hai
sabhi wahshi yahin par aa rahe hain
mere ghar mein bayabani bahut hai
yahan har-chand sab KHush-pairahan hain
magar dekho to uryani bahut hai
na jaane kab meri muTThi mein aae
wo ek lamha ki arzani bahut hai
ajab uljhan ki chup rahna bhi mushkil
jo kah dun to pashemani bahut hai
main samt-e-dasht jaana chahta tha
magar us mein tan-asani bahut hai
bhula kar baiThta hun har kisi ka
abhi mujh mein ye nadani bahut hai
KHudaya joD kya hai ishq-o-dil ka
teri baKHshish pe hairani bahut hai
zamin ko ras kab aaega 'irfan'
wo harf-e-haq ki nuqsani bahut hai
(622) Peoples Rate This