Pas-e-sukut SuKHan Ko KHabar Banaya Jae
pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae
fasil-e-harf mein mani ka dar banaya jae
hisab-e-sud-o-ziyan ho chuka bahut ab ke
wufur-e-shauq ko arz-e-hunar banaya jae
lagan uDan ki dil mein hanuz baqi hai
kaTe paron hi ko ab shah-par banaya jae
kisi paDaw pe pahunchenge jab to sochenge
abhi se kya koi zad-e-safar banaya jae
faraaz-e-dar pe kar ke buland aaKHir-e-shab
mere hi sar ko nishan-e-sahar banaya jae
bahut tawil hua silsila raqabat ka
kabhi milo to use muKHtasar banaya jae
qadam qadam pe hai basti mein wahshiyon ka hujum
chalo kahin kisi sahra mein ghar banaya jae
zamir-e-nau-e-bashar kab se ho chuka ruKHsat
nae KHamir se taza bashar banaya jae
mafar muhaal hai qaid-e-makan se jab 'irfan'
to kyun na phir isi gumbad ko ghar banaya jae
(729) Peoples Rate This